Shikayat
Khizaan kaa mausam aur tumhara khayal aaya
Tumhari yaadon se baatein kee aur khud ko tanhaa paya
​
Tumse ek rishta purana hai
​
Tumse ek hisaab bhi chukana hai
​
Aisee mohabbat kee ke wafaa ke qaabil naa choda tumne
​
Wada shikan ho, har waada todah tumne
​
Dil ke tassuvar mein tumhara hee cherah dikhiyi deta hai
​
Pukarta hai aur pyar kee duhai deta hai
​
Lekin choone ko jab haat badahiti hoon
​
To waqt kee dhund ke piche sirf andhera dikhai deta hai
​
In dus saalon mein ek umar guzar gayi
​
Kitaab ke pannon mein pardi tumhari tasveer bhi mitne lagi
​
Lekin zahen pe ab-e-atish se likhe tumhare wajood ko kaise
mitaatein hum
​
Mitah bhi dein to khud hee mit jaayein hum
​
Tumhaari khaak is tarah se jahaan mein samah gayi
​
Akhir tumhari justajoo karein to karein kahan
​
Kee har zarra pukaar ke kehta hai yahan, yahan, yahan
Kacche Aam
​
A fancy life doesn’t float my boat
I long for the monsoons on my face and throat
iPods, Airpods, iPads and iPhone Why then am iHome alone?
Yeh “I” kee daud mein hum kho gaye.
Humzubaan kee talash mein saare armaan so gaye.
Jazz aur hip hop to aacha lagta hai
Lekin dil to Guru Dutt ke gaanon pe dhadkta hai
I have shoes from Italy naye se naya
Par Raj Kapoor ka Japani joota
kahan kho gaya
There are cuisines galore
Michelin 3 and Michelin 4
Rissoto, Polenta and Chicken Malai Boti
Par mujhko chahiye Maa di dal te tandoor di roti.
Now I have cars - two and three
But give me the little house in the mango tree
Na Mario na digital Marvel chahiye
Woh mitti ke bartan aur kaanch ke marble chahiye
​
Bachpan - naa garmi satati na sard hawaon kaa pata tha
Bus raat lambi aur din chota tha
Meelon daurna nange pair
Phir thak ke so jaana bhari dophaer
Now I have strawberry, blueberry and juicy
pear But give me back my langda aam, jamun and meethe bair
Rolex, Cartier and of course Omega
Ghadian to bahut hain
Par waqt kab milega?